Tuesday, 31 July 2012

Apni Gali Mein Apna Hi Ghar Dhoondte Hain - Urdu Poetry

amjad urdu poetry

Roman Urdu

Apni gali mein apna hi ghar dhoondte hain log,

‘Amjad’ Ye kon shehar ka naqsha badal gaya…?

Urdu

،اپنی گلی میں اپنا ہی گھر ڈھونڈتے ہیں لوگ
امجد’ یہ کون شہر کا نقشہ بدل گیا؟’

Share:

Mujhe Bhi Aaine Jesa Kamal Hasil Hai - 2 Line Poetry

Best Aaina Shayari

Roman Urdu

Mujhe Bhi Aaine Jesa Kamal Hasil Hai,

Mein Tootta Hun To Phir Be Shumaar Hota Hun..

Urdu

مجھے بھی آئنے جیسا کمال حاصل ہے
میں ٹوٹتا ہوا تو پھر بے شمار ہوتا ہوں

 

Share:

Chalo Ye Zindagi Ab Ham Tumhare Naam - 2 line poetry

Urdu Best Poetry

Roman Urdu

Chalo Ye Zindagi Ab Ham Tumhare Naam Karte Hain,

Suna Hai Be-Wafa Ki Be-Wafa Se Khoob Banti Hai…!

Urdu

چلو یہ زندگی اب ہم تمہارے نام کرتے ہیں
سنا ہے بے وفا کی بے وفا سے خوب بنتی ہے

 

Share:

Monday, 30 July 2012

Aur Zamanat Wafa Ki Kia Ho Gi..? - 2 line poetry

best 2 line poetry

Roman Urdu

Aur Zamanat Wafa Ki Kia Ho Gi..??
Tum Meri Saans Girwi Rakh Lo...!!

Zamanat = Guarantee; Girwi = Mortgage

Urdu

اور ضمانت وفا کی کیا ہو گی؟؟
!!تم میری سانس گروی رکھ لو

Share:

Kisi Ke Saath Na Ho Aisa Hadsa Ya Rab - Dua Shayari

best dua shayari

Roman Urdu

Kisi ke Saath na ho Aisa Hadsa "Ya Rab"
Keh Kisi ke Piyar ko Kisi se Piyar Ho Jaye..!

Urdu

کسی کے ساتھ نہ ہو ایسا حادثہ یا رب
کہ کسی کے پیار کو کسی سے پیار ہو جائے

Share:

Sunday, 29 July 2012

Aa! Ke Meri Jaan Ko Qarar Nahi Hai - Ghalib Shayari

ghalib best shayari

Roman Urdu

Aa.! ke meri jaan ko qaraar nahi hai,
Taqat, Bedaad-e-Intezar nahi hai..

qaraar=rest/repose, bedaad=injustice

Dete hain jannat, Hayat-e-Dahar, ke badle,
Nassah Baa_Andazaa-e-Khumar nahi hai..

hayat = life; dahar = world
baa_andazaa = according to; Khumar = intoxication

Giriyaa, nikale hai teri bazm se mujh ko,
Haye ! keh rone pe ikhtiyar nahi hai..

giriyaa = weeping; ikhtiyaar = control

Hum se abas hai gumaan-e-ranjish khatir,
Khaak me ushshaq ki Ghubar nahi hai..

abas=indifferent; gumaan=suspicion; ranjish=unpleasantness;
Khaak=ashes/dust; ushshaq=lovers; Gubaar=clouds of dust

Dil ! se utha, lutf, jalwa haye ma'ani,
Gair-e-gul, Aaina-e-Bahar nahi hai..

ma'anii = meanings, Gair-e-gul = other than blossoms

Qatal ka mere kia hai ahad tu baray,
Waye, agar ahad-e-ustawaar nahi hai..

ahad = promise, baare = at last, ustawaar = firm/determined 

Tu ne Qasam Ma'y kashi ki khayi 'Ghalib'
Teri Qasam ka kuch Aitibaar nahi hai...!

mai_kashii = boozing; aitabaar = trust/faith


By: Mirza Ghalib

Urdu


آ ! کہ میری جان کو قرار نہیں ہے
'طاقت بیدارِ انتظار' نہیں ہے


دیتے ہیں جنّت، حیاتِ دہر کے بدلے
نشہ 'بہ اندازۃ خمار نہیں ہے 

گِریہ نکالے ہے تیری بزم سے مجھ کو 
ہے! کہ رونے پی اختیار نہیں ہے


ہم سے عبث ہے گمانِ رنجش خاطر 
خاک میں عشاق کی غبار نہیں ہے


دل سے اٹھا لطف جلوہ ہے معانی
غیر گُل آئینہء بہار نہیں ہے 


قتل کا میرے کیا ہے عہد تو بارے
واے! اگر عہدِ استوار نہیں ہے


تو نے قسم مے کشی کی کھائی ہے 'غالب
تیری قسم کا کچھ اعتبار نہیں ہے
Share:

Saturday, 28 July 2012

Nahi Hai Na-Umeed 'Iqbal' - Iqbal Poetry

Iqbal Umeed Poetry

Roman Urdu

Nahi Hai Na-Umeed 'Iqbal' Apni Kasht-e-Wiran Se,
Zara Num Ho To, Ye Mitti Bohat Zarkhaiz Hai Saqi..
by: Allama Iqbal

Urdu

نہیں ہے نا امید اقبال اپنی کشتِ ویراں سے 
ذرا نم ہو تو, یہ مٹی بہت زرخیز ہے ساقی
Share:

Friday, 27 July 2012

Mohabbat Karni Hai To Phir Halaat Se Darna Kesa? - 2 line poetry

best mohabbat poetry

Roman Urdu

Mohabbat Karni Hai To Phir Halaat Se Darna Kesa..?
Jang Lazim Ho To Lashkar Nahi Dekha Karte....!

Urdu

محبت کرنی ہے تو پھر حالات سے ڈرنا کیسا
جنگ جب لازم ہو تو لشکر نہیں دیکھا کرتے 

Share:

Thursday, 26 July 2012

Mera Karnama-e-Zindagi Meri Hasraton Ke Siwa - 2 line poetry

Best Arzoo Shayari

Roman Urdu

Mera Karnama-e-Zindagi Meri Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi,
Ye Kiya Nahi, Wo Hua Nahi, Ye Mila Nahi, Wo Raha Nahi...

Urdu

میرا کارنامہِ زندگی میری حسرتوں کے سوا کچھ نہیں
یہ کیا نہیں، وو ہوا نہیں، یہ ملا نہیں، وو رہا نہی

Share:

Wednesday, 25 July 2012

Ye Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat - Iqbal Poetry

Iqbal Best Poetry

Roman Urdu

Ye Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat Thi,
Sikhaye Kis Ne 'Ismaeel (A.S)'  Ko Adaab-e-Farzandi..?

Urdu

یہ فیضانِ نظر تھا یا کے مکتب کی کرامت
سکھاے کس نے اسمعیل کو آدابِ فرزندی 

Share:

Khoon Ke Rishton Me Ager Hoti Mohabbat - Inspirational Poetry

Best Inspirational poetry

Roman Urdu

Khoon Ke Rishton Me Ager Hoti Mohabbat,
Yousaf Na Bikta Misar Ke Bazaron Me...

Urdu

خون کے رشتوں میں اگر ہوتی محبت 
یوسف نہ بکتا مصر کے بازاروں میں 

Share:

Monday, 23 July 2012

Hum Roz Gunah Karte Hain - Islamic Poetry

Best Islamic Poetry

Roman Urdu

Hum Roz Gunah Karte Hain, Wo Chupata Apni Rehmet Se,
Hum Majboor Apni Adat Se, Wo Mashoor Apni Rehmet Se...

Urdu

ہم روز گناہ کرتے ہیں، وہ چھپاتا ہے اپنی رحمت سے
ہم مجبور اپنی عادت سے، وہ مشہور اپنی رحمت سے 

Share:

Koi ilzam, Koi Tanz, Koi Ruswai - 2 Line Poetry

sad boy poetry

Roman Urdu


Koi ilzam, Koi Tanz, Koi Ruswai..!!
Bohat Din Ho Gaye, Yaaron Ne Inayat Nahi Ki....

Urdu


کوئی الزام، کوئی طنز، کوئی رسوائی 
بہت دیں ہو گئے، یاروں نے عنایات نہیں کی...


Share:

Sunday, 22 July 2012

Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo - Faraz Poetry

Roman Urdu

Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo 'Faraz'
Mitti Ke Khilonon Se Kabhi Wafa Nahi Milti....

Urdu

محبت کر سکتے ہو تو خدا سے کرو فراز
مٹی کے کھلونوں سے کبھی وفا نہیں ملتی 

Share:

Naadan The Jo Rakhte The Umeedain Kisi Par - Islamic Poetry

Best Islamic Poetry

Roman Urdu

Naadan The Jo Rakhte The Umeedain kisi Par,
Zaat-e-Allah Ke Elawa Koi Kisi Ka Nahi Hota....!

Urdu

نادان تھے جو رکھتے تھے امیدیں کسی پر
ذاتِ الله کے علاوہ کوی کسی کا نہیں ہوتا 


Share:

Saturday, 21 July 2012

Bhool Kar Bhi Na Dena Kandha Mere Janaze Ko

Roman Urdu

Bhool Kar Bhi Na Dena Kandha Mere Janaze Ko,
Kahin Phir Zinda Na Ho Jaon Tera Sahara Samajh Kar..

Urdu

بھول کر بھی نہ دینا کندھا میرے جنازے کو
کہیں پھر زندہ نہ ہو جاؤں تیرا سہارا سمجھ کر 




Share:

Tum Se Na Kat Sake Ga Andheron Ka Ye Safar

Sad Poetry

Roman Urdu

Tum Se Na Kat Sake Ga Andheron Ka Ye Safar,
Ab Sham Ho Rahi Hai, mera hath Tham Lo....

Urdu

تم سے نہ کٹ سکے گا اندھیروں کا یہ سفر
اب شام ہو رہی ہے، میرا ہاتھ تھام لو
Share:

Friday, 20 July 2012

Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha Dekhon - Parveen Shakir

Apni Ruswai Parveen Shakir

"Apni Ruswai" in Roman Urdu

Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon
Ek zara Shair kahon aur mein kia kia dekhon..

Neend aa jaye to kia mehfilain barpa dekhon,
Aankh khul jaye to tanhai ka Sehra dekhon,

Shaam bhi ho gai, dhundla gain aankhain bhi meri,
Bhoolne wale, mein kab tak tera rasta dekhon...?

Sab zidain is ki mein poori karon, har baat sunon,
Aik bache ki tarha use hansta dekhon....

Mujh pe chah jaye jo barsat ki khushbu ki tarha,
Ang ang apna usi rut me mehakta dekhon...

To meri tarha se yakta hai mager mere habeeb,
Jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhon...

Mein ne jis lamhe koi pooja hai usy bas ek baar,
Khwab ban kar teri aankhon me utarna dekhon...

Tu mera khuch nahi lagta hai, magar jaan-e-Hayat,
Jane kion tere liye dil ko dharakta dekhon..

"Apni Ruswai" in Urdu

اپنی رسوائی اور تیرے نام کا چرچا دیکھوں
اک ذرا شعر کہوں اور میں کیا کیا دکھوں

نیند آ جائے تو کیا محفلیں برپا دکھوں
آنکھ کھل جائے تو تنہائی کا صحرا دکھوں

شام بھی ہو گئی، دھندلا گئیں آنکھیں بھی میری
بھولنے والے، میں کب تک تیرا راستہ دکھوں؟

سب ضدیں اس کی میں پوری کروں، ہر بات سنوں
ایک بچے کی تارہا اسے ہنستا دکھوں

مجھ پی چھا جائے جو برسان کی خوشبو کی طرح
انگ انگ اپنا اسی رت میں مہکتا دکھوں

تو میری طرح سے یکتا ہے مگر میرے حبیب
جی میں آتا ہے کوئی اور تجھ سا دیکھوں 

میں نے جس لمحو کو پوجا ہے اسے اک بار
خواب بن کر تیری آنکھوں میں اترتا دکھوں 

تو میرا کچھ نہیں لگتا ہے، مگر جانِ حیات
جانے کیوں تیرے لئے دل کو دھڑکتا دکھوں

Share:

Thursday, 19 July 2012

Parakhna Mat Parakhne Mein - Bashir Badr Shayari

best bashir badr

Poetry In Roman Urdu Script:


Parakhna mat parakhne mein koi apna nahi rehta,
Kisi bhi Aaina me dair tak chehra nahi rehta...

Baray logon se milne me hamesha fasla rakha,
Jahan darya samandar se mila, darya nahi rehta...

Hazaron shair mere so gaye kaghaz ki qabron mein,
Ajab Maa hun koi bacha mera zinda nahi rehta....

Tumhara Shehar to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehar me bhi ab koi hum sa nahi rehta...

Mohabbat aik khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insan tanhai me bhi tanha nahi rehta....

Koi badal haray mausam ka phir ailan karta hai,
Khizan ke bagh jab aik bhi patta nahi rehta...

Poetry In Urdu Script:


پرکھنا مت، پرکھنے میں کوئی اپنا نہیں رہتا،
کسی بھی آئینے میں دیر تک چہرہ نہیں رہتا

بڑے لوگوں سے ملنے میں ہمیشہ فاصلہ رکھنا
جہاں دریا سمندر سے ملا ، دریا نہیں رہتا 

ہزاروں شعر میرے سو گئے کاغذ کی قبروں میں
عجب ماں ہوں کوئی بچہ میرا زندہ نہیں رہتا

محبت ایک خوشبو ہے ہمیشہ ساتھ چلتی ہے.
کوئی انسان تنہائی میں بھی تنہا نہیں رہتا

کوئی بدل ہرے موسم کا پھر اعلان کرتا ہے
خزاں کے باغ میں جب کوئی پتا نہیں رہتا...

Parakhna Mat Parakhne Mein - Video


Share:

Wednesday, 18 July 2012

Taiz Barish Me Kabhi Sard Hawaon Me Raha - Barish Poetry

Barish Shayari Best

Roman Urdu Script - Barish Shayari

Taiz Barish me Kabhi Sard Hawaon me raha,
Ik Tera Zikr tha Jo meri Sadaon me raha,
Kitne Logon se Mere Gehre Marasim hain Magar,
Tera Chehra Hi Faqat Meri Duaon Me raha....!

(Gehre Marasim = Deep Connections ; Duaon = Prayers)


Share:

Monday, 16 July 2012

Mohabbat Me Ibtida Se Hi Imtihan De Rahe Hain - Dard Shayari

Best Imtihan Shayari

Mohabbat me ibtida se hi imtihan de rahe hain,
Apne no-khaiz dil ko tarapne ka samaan de rahe hain... 

Dil ki zarkhaiz matti, akhir wiran kion rahi ab tak?
Jise barsoon se khoon apni, jawan de rahe hain...

Jahan wiranon me tanhai ne jane se kar diya inkar,
Dal kar dairy ham, wiranon ko shan de rahe hain...

Ghamon ka dasa hua hun, ohir bhi ghamon se hai piyan,
Chahat me qurbani ka, naya rujhan de rahe hain...

Jane pehchane chehray, ab pehchane nahi jaate,
Har chehray ko, naye chehray ka guman de rahe hain...

'Tahir' dhoop se nikal kar, thera hai hawa ke saye tale,
Apni zaat ko alag se, ik pehchan de rahe hain....!


Share:

Sunday, 15 July 2012

Dukh Dard Ke Maron Se Mera Zikar Mat Karna - Wasi Shah Poetry

Best of Wasi Shah

Urdu Ghazal - Wasi Shah Poetry

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna...

Wo zabat na kar payn ge ankhon k samandar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna...

Phoolon ke nasheman me raha hon me sada se !
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna...

Shaid ye andheray hi mujhe raah dikhaen,
Abb chand sitaron se mera zikar na karna...

Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain,
Afsana nigaron se mera zikar na karna...

Shaid wo mere haal pe be-sakhata roo dain,
Iss bar baharon se mera zikar na karna...

Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar,
Darya ke kinaron se mera zikar na karna...

Wo shakhs mile to use har bat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna...


Share:

Saturday, 14 July 2012

Ab Ke Barish Main - Barish Shayari

Best Barish Shayari

Ab Ke Barish Main,
Kuch Aisa Karna,

Apni Hatheli Pe,
Qatroon ko Jama Karna,

Jo Jama Ho Jain,
Wo Sab Teri Chahat,

Aur Jo Reh Jain,
Wo Sab Meri Chahat....


Share:

Friday, 13 July 2012

Kabhi Jo Hum Nahi Hon Gey - Sad Poetry

Best Sad Poetry

"Kabhi jo hum nahi hon ge"

Kaho kis ko batao gey ?

Wo apni uljhanein sari,

Wo be-chaini me doobe pal,

Wo aankhon me chupe aansu,

Kise phir tum dikhao gey,

Bohat tum ko rulain gey...

Bohat chaho gey phir bhi tum,

Hame na bhool pao ge,

"Kabhi jo hum nahi hon gey"

Share:

Ye Barish, Ye Thandi Hawa, Aur Ye Khushgawar - Barish Poetry

Barish Ka Mausam

Urdu Poetry - Barish Shayari

Ye Barish, Ye Thandi Hawa, Aur Ye Khushgawaar Mausam,
Hum Ager Majboor Na Hote To Tere Paas Hote.....!



Share:

Thursday, 12 July 2012

Wo Bewafa Na Tha Yunhi Badnam Ho Gaya - Sad Poetry

wo bewafa na tha

Urdu Poetry - Bewafa Shayari

Wo  Bewafa na tha, yunhi badnaam ho gaya..!
Hazaroon Chahne wale the kis kis se wafa karta...?

Share:

Wednesday, 11 July 2012

Roz Aa Jata Hai Dar-e-Dil Pe Dastak Daine - Sad Poetry

Roz Aa Jata Hai Dar-e-Dil Pe Dastak Daine - Sad Poetry

Urdu Poetry - Dard Shayari

Rooz aa jata hai dar-e-dil pe dastak daine,
Ik shakhs jis ko me ne kabhi bhulaya hi nahi...!


Share:

Monday, 9 July 2012

Kitnay Majboor Hain Taqdeer Kay haathon - Sad Poetry

Kitnay Majboor Hain Taqdeer Kay haathon - Sad Poetry

Urdu Poetry - Majboor Shayari

Kitnay Majboor Hain Taqdeer Kay Haathon,
Na usy panay ki Auqat, Na usy khony ka hosla.. :(



Share:

Sunday, 8 July 2012

Uljhan by Parveen Shakir - Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai

Uljhan-Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai - Parveen Shakir Poetry

Urdu poetry - Parveen Shakir poetry

*Uljhan*

Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai,
Aur meri Janib apne Haath barhati Hai,
Soch Rahi Hoon!
Un ko Thamoon,
Zeena Zeena Sannaton Ke Teh-Khaanon Me Utron,
Ya Apne Kamre Me Thehroon
Chaand meri Khirki pe Dastak Daita Hai..!



Share:

Saturday, 7 July 2012

Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko - 2 line urdu poetry

Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko - 2 line urdu poetry

Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko,
Aisy jalte hain wafaon ko nibhane waly......!


Share:

Kis qadar masoom sa lehja tha uska 'dost' - Love Poetry

Kis qadar masoom sa lehja tha uska 'dost' - Love Poetry

Kis qadar masoom sa lehja tha uska 'dost',
Dheeray se Jaan keh kar be-jaan kar diya...!

Share:

Ajab Rasam Hai Carah Garon Ki Mehfil Ki - Zulm Shayari

Ajab Rasam Hai Carah Garon Ki Mehfil Ki - Zulm Shayari

Ajab Rasam Hai Carah Garon Ki Mehfil Ki,
Laga Ke Zakhm, Namak Se Misaj Karte Hain...

Ghareeb Shahar Tarasta Hai ik Nawale Ko,
Ameer Shehar Ke Kutte Bhi Raaj Karte Hain...!

Share:

Friday, 6 July 2012

Ik Mein Hi Nahin Jurm-e-Mohabbat Ka Khatawar - 2 line

Ik Mein Hi Nahin Jurm-e-Mohabbat Ka Khatawar - 2 line urdu poetry

Ik Mein Hi Nahin Jurm-e-Mohabbat Ka Khatawar,
Halka Sa 'Tabassum' Bhi To Shamil Tha Udhar Se...!

Share:

Thursday, 5 July 2012

Mujhe Maal o Zar Ki Hawis Nahi - Islamic poetry, Urdu Shayari

Mujhe Maal o Zar Ki Hawis Nahi - Islamic poetry

Mujhe Maal o Zar Ki Hawis Nahi,
Mujhe Bas Tu Rizq-Halal De,
Mere Zehan Mein Teri Fikar Ho,
Meri Saans Me Tera Zikar Ho,
Sabhi Khoof Dil Se Nikal De,
Teri Baargah Mein Ayy Khuda,
Meri Roz Subha Hai Ye Dua,
Tu Raheem Hai....!
Tu Kareem Hai....!
Mujhe Mushkilon Se Nikal De,
Meri Aakhrat Sanwar De....!

(Ameen)

Share:

Meri Ghaflaton ki bhi Had Nahi - Islamic Poetry

Meri Ghaflaton ki bhi Had Nahi - Islamic Poetry

Meri Ghaflaton ki bhi Had Nahi, 
Teri Rehmaton ki Bhi Had Nahi,
Na Meri Khata ka Shumar hai, 
Na teri Aata ka Shumar Hai...!

Share:

Parwaaz hai dono ki isi aik Fiza mein - Allama Iqbal Poetry

Parwaaz hai dono ki isi aik Fiza mein - Allama Iqbal Poetry

Parwaaz hai dono ki isi aik Fiza mein,
Kargis ka jahan aur hai, Shaheen ka jahah aur,
ilfaaz-o-Mani me tafawat nahi lekin,
Malla ki Azaan aur, Mujahid ki azaan aur..


Share:

Tuesday, 3 July 2012

Ishq Fakeer-e-Haram, Ishq Ameer-e-Junood - Allama Iqbal Poetry

Ishq Fakeer-e-Haram, Ishq Ameer-e-Junood - Allama Iqbal Poetry

Ishq Fakeer-e-Haram, Ishq Ameer-e-Junood,
Ishq hai Ibn-e-Sabeel, Is ke Hazaroon Muqaam...
Share:

Fana Ishq Ki Manzil Magar Ta' Binda - two line poetry


Fana-e-Ishq Ki Manzil Magar Ta' Binda,
Dard-e-jee Se Hue Kai Danish Mund Paida...

Share:

Izhar-e-Tamanna Hi Toheen-e-Tamanna hai - 2 line poetry

Izhar-e-Tamanna Hi Toheen-e-Tamanna hai - 2 line poetry

Izhar-e-Tamanna Hi Toheen-e-Tamanna hai,
Tum Khud hi Samajh Jao, Me Naam Nahi loongi...

Share:

Bachay bhi Ghareebi Ko Samjhny lagay - 2 Line Poetry

Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shyed - two line poetry

Urdu Dard Shayari


Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shayed,
Ab Jaag bhi jaatay hain toh Sehhri Nahi Khatay...!

Share:

Tijorian Barhte hain log - Inspirational Poetry

Tijorian Barhte hain log - Inspirational Poetry

Tijorian Barhte hain log Umar bhar ke liye,
Mout Ka Farishta Rishwat Nahi Laita....!


Share:

Sunday, 1 July 2012

Aadhi raat ke shaid sapne jhoote they - Ghazal

Aadhi raat ke shaid sapne jhoote they - Ghazal shayari

Aadhi raat ke shaid sapne jhoote they..
Ya phir pehli baar sitaare toote they...

Jis din ghar se bagh ke sheher pohnchi thi,
Bhag bhari ke bhag usi din phoote they...

Mazhab ki bunyaad pe kia taqseem hui,
Hamsayon ne hamsaye hi loote they...

Shokh nazar ki chutki ne nuksaan kia,
Haathon se chaye ke bartan choote they..

Aoorh ke phirti thi jo 'Nainaan' sari raat,
Us resham ki shaal pe yaad ke boote they...

Share:

Blog Archive

Definition List

Unordered List

Support