Sunday, 17 June 2012

Yeh Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-Ru Karte - Aatish's Poetry


Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte, 
Hum aur bul_bul-e-betaab guftagu karte...

(ru-ba-ru = in front of; guftagu = conversation)

Payaam bar na mayassar hua to Khoob hua,
Zabaan-e-Gair se kya shar ki aarzu karte...

(mayassar = available; shar = mischief)

Meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aavaaraa, 
Kisi habib ko ye bhi hain justaju karte...

(maah-o-mahar = moon and sun; habib = friend)

Jo dekhate teri zanjeer-e-zulf kaa aalam, 
aseer hone ke aazaad aarazuu karte...

(aseer = prisoner)

Na pooch aalam-e-baragashtaa taali-e-'Aatish',
Barasati aag main jo baaraan  ki aarazu karte..

(baragashtaa = turn around/against; baaraan = rain)
(taali-e-aatish = burning fate)

By: Haider Ali Aatish
Share:

0 comments:

Post a Comment

Blog Archive

Definition List

Unordered List

Support