Wednesday, 6 June 2012

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi - Parveen Shakir

kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi

kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi, 
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi 

(Sard=Cold; Malaal=Sorrow)

Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki, 
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi 

 (Chet=Name of a month; Jamaal=Beauty)

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta, 
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi 

Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo 
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi 

(Taraash=Polish; ShishaaGaran=Glazier)

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi 

(Muhaal=Difficulty)

Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir, 
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi 

(Talab=Quest)

Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata 
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi 

(Nasamajh=Naive)

Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe 
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...




Share:

0 comments:

Post a Comment

Blog Archive

Definition List

Unordered List

Support