Friday 29 June 2012

Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho - 2 line poetry

Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho

Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho...!
Bohat matlabi thy kuch log, jo tunha kar gaye....

Share:

Thursday 28 June 2012

Mere choone per bhi aitraaz karta hai wo shaks - 2

Mere choone per bhi aitraaz karta hai wo shaks

Aj mere choone per bhi aitraaz karta hai wo shaks..
Jo saari raat meri baanhon me sooya karta tha...!

Share:

Wednesday 27 June 2012

Han Main Wohi Shakhs Hun - Two Line Poetry

Han Main Wohi Shakhs Hun - Two Line Poetry

Haan Main Wohi Shakhs Hun.....!!
Dil main jiske Koi Bhi Tamanna nahi Baqi....


Share:

Tuesday 26 June 2012

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'
Zara sa rooth kar dekho, manane kon aata hai....

by: Sagar Siddiqui

Share:

Monday 25 June 2012

Meri be-loos mohabbat ne daboya hai mujhe

Meri be-loos mohabbat ne daboya hai mujhe,

Meri be-loos mohabbat ne daboya hai mujhe,
Itna mukhlis hun ke har dil me utar jata hun...!


Share:

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya - Motivational Poetry

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya...

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya...


Maazi Tou Sunehra Tha, Magar Haal Kho Gaya

Wo Raub-o-Dabdaba, Wo Jalal Kho Gaya...

Wo Husn-e-Be.Misaal Wo Jamal Kho Gaya,

Doobey Hain Jawabo'n Me, Per Sawal Kho Gaya...

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya...

Urtey Jo Fizao'n Main, Thay Shaheen Na Rahe

Ba-Zauq Na Rahe, Zaheen Na Rahe

Pkeeza Gar Nahi Rahe, Ba-Deen Na Rahe

Wo Lal-o-Gulzar Wo, Mah-jabeen Na Rahe

Momin Ka Wo, Andaz-e-B.kamal Kho Gaya

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya...

Share:

Shiddat-e-ishq khair ho teri - 2 line Urdu Poetry

Shiddat-e-ishq khair ho teri..!

Shiddat-e-ishq khair ho teri..!
Kese alam me la kar Chor diya..!


Share:

Sunday 24 June 2012

Ajab Haalqa-e-Ahbab Hai Muqadir Main 'Mohsin' - Mohsin Naqvi Poetry

Ajab Haalqa-e-Ahbab Hai Muqadir Main 'Mohsin'

Ajab Haalqa-e-Ahbab Hai Muqadir Main 'Mohsin'
Qadam Qadam Pe Mera Maan Toot Jata hai.....
Share:

Saturday 23 June 2012

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain - Aatish Poetry

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,

Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...

Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...

(Naala = Loud); (Shab-e-faraaq = night of separation ; kakul-e-peechan = Curly Hair)
Share:

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha - 2 line poetry

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha,,,
Aadi Bana Ke Zalim Ne Ma'eKhana Badal Liyaa....!!

Share:

Mulaim Hath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain, or Yaqoot Hont...!

Mulaim Hath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain, or Yaqoot Hont - urdu romantic poetry

Urdu Poetry - Aankhen Shayari

Mulaim Hath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain, or Yaqoot Hont...!
Wallah..! Qatal Baqi Hai, Auzaar To Sabhi Pooray Hain...!


(Khum-e-Zulf = Curly hair ; Yaqoot = Garnet),(Auzaar = Tools)
Share:

Hum Ne Kab Manga Tum Se Apni Wafaon Ka Sila?

Hum ne kab manga hai tum se apni wafaon ka sila?

Hum ne kab manga hai tum se apni wafaon ka sila??
Bas dard daite raha karo, Mohabbat bharti jaye gi...!

Share:

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat 'Wasi' - Wasi Shah Poetry

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat 'Wasi'

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat 'Wasi'
Qatra qatra baras rahi hai askhkon ki barsaat 'Wasi'

Tere baad ye dunya wale mujh ko pagal kar dain ge,
Khushbu ke dais me mujh ko le chal apne saath 'Wasi'

Yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gum sum betho ge?
Khamoshi se dam ghutta hai chairo koi baat 'Wasi'

Chor 'Wasi' ab us ki yaadain, tujh ko pagal kar dain gi,
Tu qatra hai wo darya hai, dekh apni Aoqaat 'Wasi'..!!


Share:

Friday 22 June 2012

Ye Kiska Tasawur Hai, Ye Kiska Fasana Hai

Ye Kiska Tasawur Hai, Ye Kiska Fasana Hai

Ye kiska tasawur hai, ye kiska fasana hai,
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai...

Aankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain,
Nazuk si nigaahon mein naazuk sa fasana hai...

Ye ishq nahin aasaan itana to samajh lije,
Ek aag kaa dariyaa hai aur doob ke jana hai...!

Yaa wo the khafa ham se ya ham the khafa unse,
kal un ka zamana tha aaj apana zamana hai....


Share:

Thursday 21 June 2012

Mujhe zindagi ki dua na de, meri zindagi se bani nahi,


Mujhe zindagi ki dua na de, meri zindagi se bani nahi,
Koi zindagi pe kare yaqeen, mujhe zindagi pe yaqeen nahi...!

Share:

Wednesday 20 June 2012

Rab rab karde budhe ho gaye - Bulleh Shah Poetry


Rab rab karde budhe ho gaye, Mulla Pandat saray,
Rab da khooj khurra na Lubha, Sajde kar kar haare,
Rab te tere andar wasda. Wich Qur'aan ishaare,
'Bulleh Shah'! Rab unho milsi jhehra apne Nafs nu mare..

By: Bulleh Shah

Share:

Kal raat barasti rahi saawan ki ghata bhi,


Kal raat barasti rahi saawan ki ghata bhi,
Aur ham bhi teri yaad me dil khool ke roye...!

Share:

Tum meri aankh ke taiwar na bhula pao ge - Wasi Shah


Tum meri aankh ke taiwar na bhula pao ge,
An_kehi baat ko samjho ge to yaad aaon ga...!


Share:

Ehsas-e-mohabbat ki Mithaas se mujhe aagah na kar


Ehsas-e-mohabbat ki Mithaas se mujhe aagah na kar,
Ye wo Zehar hai, jo me pehle bhi pee chuka hun...!!

Share:

Tuesday 19 June 2012

Yeh Mohabbat bhi hai kia Rog 'Faraz',


Yeh Mohabbat bhi hai kia Rog 'Faraz',
Jisko bhoolay wo sada yaad aaya...!

by: Ahmed Faraz
Share:

Sunday 17 June 2012

Akhtar-e-shaam ki aati hai Falak se awaaz - Shab-e-Meraj


Akhtar-e-shaam ki aati hai Falak se awaaz,
Sajda karti hai Sahar jis ko wo hai aaj ki raat,
Reh yak gaam hai himmat ke liye Aarsh-e-Bareen,
Keh rahi hai ye Musalman Meraj ki raat....






Share:

Yeh Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-Ru Karte - Aatish's Poetry


Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte, 
Hum aur bul_bul-e-betaab guftagu karte...

(ru-ba-ru = in front of; guftagu = conversation)

Payaam bar na mayassar hua to Khoob hua,
Zabaan-e-Gair se kya shar ki aarzu karte...

(mayassar = available; shar = mischief)

Meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aavaaraa, 
Kisi habib ko ye bhi hain justaju karte...

(maah-o-mahar = moon and sun; habib = friend)

Jo dekhate teri zanjeer-e-zulf kaa aalam, 
aseer hone ke aazaad aarazuu karte...

(aseer = prisoner)

Na pooch aalam-e-baragashtaa taali-e-'Aatish',
Barasati aag main jo baaraan  ki aarazu karte..

(baragashtaa = turn around/against; baaraan = rain)
(taali-e-aatish = burning fate)

By: Haider Ali Aatish
Share:

Friday 15 June 2012

Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Vahashat usay bhi thi - Mohsin Naqvi Poetry


Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Wehshat usay bhi thi,
Meri tarha kisi se Muhabbat usay bhi thi..

(zikr-e-shab-e-firaaq = mention of the night of separation)
(Wehshat = fear/dread)

Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka,
Rastaa badal ke chalane ki aadat use bhi thi...

Us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftagu,
Masruf main bhi kam tha faraagat use bhi thi...

(mahv-e-guftaguu = immersed in conversation)
(masruuf = busy; faraaGat = leisure/freedom from business)

Sunata tha vo bhi sab se puraani kahaaniyaan,
Taaza rafaaqaton ki zarurat use bhi thi...

(rafaaqat = friendship)

Mujh se bichar ke shahar me ghul mil gayaa wo shakhs,
Haalanke shahar bhar se raqabat use bhi thi...

(Haalanke = although; raqabat = enmity)

Wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna har ek saans qayaamat use bhi thi...

(zabt = tolerance/restraint; aadii = habituated)


by: Mohsin Naqvi


Share:

Mere Haathon Ki Lakeeron Mein - Mohsin Naqvi Poetry

Mohsin Naqvi Sad Poetry

Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Ye Aaib Chupa Hai 'Mohsin'
Mein Jis Shaks Ko Chu Loon, Wo Mera Nahi Rehta...!
Share:

Me Jo Mehka To Meri Shakh Jala Di Us Ne


Me jo mehka toh meri shakh jala di uss ne,
Sabz mausam me mujhe zard hawa di uss ne...

pehle ik lamhe ki zanjeer me bandha mujh ko,
Aur phir Waqt ki raftar barha di uss ne...

Jaanta tha ke mujhe maut sakoon bkhshe gi,
woh sitamgar tha so jeene ki duaa di uss ne...

Uss ke hone se thiin saanse meri dugni shayad,
Woh jo bichra toh meri umar ghata di uss ne....!

Share:

Wednesday 13 June 2012

Samne Manzil Thi aur Peeche us ki Awaaz


Samne Manzil Thi aur Peeche us ki Awaaz,
Rukta to Safar Jata, Chalta to Bichar Jata...!


Share:

Tuesday 12 June 2012

Mujhe Mohabbat hai apne Hathon ki Sabhi Ungliyon se



Mujhe Mohabbat hai apne Hathon ki Sabhi Ungliyon se 'Baasit'
Najaane kis Ungli ko pakar kar Meri Maa ne mujhe Chalna seekhaya...!
Share:

Chalo Ab Mil K Hijr-o-Habs Ka Moasm Bdalty Hain,


Chalo Ab Mil K Hijr-o-Habs Ka Moasm Bdalty Hain,
Zara Sa Tum Bdal Jao.!
Zara Sa Hum Bdalty Hen,
Bas Itna Yad Rakh Lena.!
Ke Wesy Kam Bdalty Hen,
Mgar Jub Hum Bdalty Hen.!
to Phr..!
Peham Badalty Hen,
Ager Tum Ye Smajhty Ho.!
Tumhary Gham Ziyada Hain..!
To Ab Ki Baar Aapas Me..!
Hum Apny Gham Bdalty Hain..!

(Peham = Closely / In a close Manner)
Share:

Barsoon ki piyaas, ik nazar me kese mite gi


Barsoon ki piyaas, ik nazar me kese mite gi,
Lagta hai ye zindagi, isi Hasrat me katy gi..

Meri hatheli ki pusht par, uske labon ke nishan,
Surkh laali ab dhoodne se, kahan ghaty gi...?

Labon tak aate baddua, dua ban jati hai,
Dil me chupi Mohabbat ab aise hi uthy gi..

Na barha jigar sooz dard, maan ja dil ki baat,
Dunya janti hai tere Sitam, tare aage daty gi..

Jage hain tamam raat, chaand ki ik Jhalak ko,
Na jaane ye Kali badli, aage se kab haty gi...

'Tahir' ne daal diye hain, teri gali me Dairyy,
Suna hai jaldh hi tere, didaar ki Khairaat batyy gi...!

By: Tahir Javaid Tahir


Share:

Sunday 10 June 2012

Umar Bhar Likhte Rahe Phi Bhi Warq - 2 Line Poetry

Urdu 2 Line Poetry

Umar Bhar Likhte Rahe Phi Bhi Warq Saada Raha
Jane Wo Kia Lafz The Jo Hum Se Tehreer Na Ho Sake...
Share:

Ghurbat Ne mere Bachon Ko Tehzeeb Seekha Di


Ghurbat ne mere bachoon ko Tehzeeb seekha di,
Sehme hue rehte hain Sharaarat nahi Karte......! :(
Share:

Tere Honton Ki Hansi Banane Ka Khwab Hai



Tere hothon ki hasi banane ka khwaab hai…
Teri aaghosh me simat jane ka khwab hai…

Tu lakh bachale daaman ishq ke haathon…
Aasmaa bankar tujh per chhaane ka khwab hai…

Aazmaish yun to acchi nahi hoti ishq ki…
Tu chahe to teri takdeer banane ka khwab hai…

Wo Maut bhi laut jaye tere darwaze pe aake…
Tujhko aisi zindagi dene ka khwab hai…

Jee bhi lenge agar jeena pare tere bina,
Lekin tujh per mar mitne ka khwab hai…!!!

Share:

Saturday 9 June 2012

Ishara to Madad ka kar raha tha Doobne wala

Ishara to Madad ka kar raha tha Doobne wala

Ishara to Madad ka kar raha tha Doobne wala...
Mager Yaran-e-Sahil ne Salam-e-Alvida samjha...
Share:

Friday 8 June 2012

Meri Chup Ne Usko Rula Diya - Aansu Shayari


Mery humsafar ka ye hukam tha...!

Ke kalam us say main kum Karun,

Mery hont Aisay silay ke
phir....
Meri chup nay usko rula diya.....!

Share:

Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo




Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo..!
Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!

Tum Yun To Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..!

Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Kho Jao To Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..!
Mil Jao To Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Likhta Hun To Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..!
Parhta Hon To Lehja Bhi Tum, Awaz Bhi Tum Hoo..!

Share:

Thursday 7 June 2012

Abhi Tum Beth Jao Na - Urdu Peotry


Abhi Tum Beth Jao Na

Urdu Nazam

Abhi Tum Beth Jao Na...
Bohat Si Baat Baqi Hai...
Mere Halaat Baqi Hain...
Abhi Jazbaat Baqi Hain...

"Suno"

Mujhay Tum Kyun Statay Ho..??
Mujhay Itna Rulatay Ho...
Mujhay Tum SE Muhabbat Hai...
Mujhay Kyun Aazmatay Ho..??

Tumhi Ko Yaad Karte Hain...
Tumhi Se Pyar KarteHain...
Meri To Zindgi Tum Ho...
Samajh Tum Kyun Na Patay Ho..??

Mujhay Tum Yaad Aatay Ho...
Meri To Har Khushi Tum Se...
Meri To Zindgi Tum Se...
Meri Hr Aarzoo Tum Se...
Mujhay Tum Kyun Statay Ho...


Share:

Mohabbat me Lutaane ko abhi to Jaan bhi baqi hai

Mohabbat me Lutaane ko abhi to Jaan bhi baqi hai

Yeh kis ne keh diya Tum se Ke Bazi Haar Bethe Hum?
Mohabbat me Lutaane ko abhi to Jaan bhi baqi hai...!
Share:

Chalay ho saath to Himmat na haarna 'Wasif'

Chalay ho saath to Himmat na haarna 'Wasif'

Chalay ho saath to Himmat na haarna 'Wasif'
Ke Manziloon ka tasawar mere safar me nahi...!

Share:

Wednesday 6 June 2012

Tumhare Ghar Ki Chokhat Hi Tumhare Sar Ki Chadar Hai



Tumhare Ghar Ki Chokhat Hi Tumhare Sar Ki Chadar Hai,
Suno Aay Larkiyoo, Nadaaniyaan Achi Nahi Hootin...!
Share:

Ye iltija hai ke aankhon me basa lo ham ko

Ye iltija hai ke aankhon me basa lo ham ko,

Ye iltija hai ke aankhon me basa lo ham ko,
ham bhi sajh jayn ge, tum bhi sanwar jao ge...

Share:

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi - Parveen Shakir

kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi

kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi, 
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi 

(Sard=Cold; Malaal=Sorrow)

Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki, 
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi 

 (Chet=Name of a month; Jamaal=Beauty)

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta, 
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi 

Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo 
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi 

(Taraash=Polish; ShishaaGaran=Glazier)

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi 

(Muhaal=Difficulty)

Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir, 
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi 

(Talab=Quest)

Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata 
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi 

(Nasamajh=Naive)

Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe 
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...




Share:

Monday 4 June 2012

Hai Tamana K Mujhay Koi Tamana Na Rahay

Urdu Poetry - Aarzoo Shayari

Rooh Azad Ho, Majboor-e-Taqaza Na Rahay,
Hai Tamana K Mujhay Koi Tamana Na Rahay…!
Share:

Kabhi Pathar Ki Thokar Se Bhi Aati Nahi Kharash

Kabhi Pathar Ki Thokar Se Bhi Aati Nahi Kharash

Kabhi Pathar Ki Thokar Se Bhi Aati Nahi Kharash,
Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jata Hai...!


Share:

Taras Jao Ge Hamare Laboon se Sunne ko ek ek Lafz

Taras Jao Ge Hamare Laboon se Sunne ko ek ek Lafz..

Taras Jao Ge Hamare Laboon se Sunne ko ek ek Lafz..
Piyaar Ki baat to Kia Ham Shikayat Bhi Nahi Karainge..!

Share:

Sunday 3 June 2012

Kahin Ishq Ki Dekhi Ibtida


Kahin Ishq Ki Dekhi Ibtida

Kahin ISHQ ki dekhi Ibtida,

Kahin ISHQ ki dekhi Inteha,

Kahin ISHQ Sooli pe Charh gya,

Kahin ISHQ ka Nezy pe Sir gya,

Kahin ISHQ sajdy mei gir gya,

Kahin ISHQ sajdy sy phir gya,

Kahin ISHQ dars-e-wafa bana,

Khain ISHQ husn-e-ada bana,

Kahin ISHQ ne Sanp se daswa dia,

Kahin ISHQ ne namaz ko Qaza kia,

Kahin ISHQ saife Khuda bana,

Kahin ISHQ shere-Khuda bana,

Kahin ISHQ Toor per deedar hy,

Kahin ISHQ zibah ko tayar hy,

Kahin ISHQ ne behka dia,

Kahin ISHQ ne Shah-e-Misr bana dia,

Kahin ISHQ ankhon ka Noor hy,

Kahin ISHQ Koh-e-Toor hy,

Kahin ISHQ 'tu hi tu' hua,

Kahin ISHQ 'ALLAH HOO' hua.
Share:

Saturday 2 June 2012

Tera Husn Ho Mera Ishq Ho

Tera Husn Ho, Mera Ishq Ho

"Tera Husn Ho Mera Ishq Ho"

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho

To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho
Kabhi Main Milon, Kabhi Tu Milay
Kabhi Hum Milain, Mulaqaat Ho

Kabhi Tu Ho Chup, Kabhi Main Hoon Chup
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon

Kabhi Guftagu
Kabhi Tazkiray
Kabhi Zikar Ho
Ko'i Baat Ho

Kabhi Visaal Ho To Din Ko Ho
Kabhi Hijar Ho To Voh Raat Ho

Kabhi Main Tera
Kabhi Tu Meri

Kabhi Sath Main
Kabhi Sath Tu

Kabhi Ek Doojay Ka Sath Ho

Kabhi Sohbatain, Kabhi Ranjishain
Kabhi Dooriyan, Kabhi Qurbatain
Kabhi Ulfatain, Kabhi Nafratain
Kabhi Jeet Ho, Kabhi Maat Ho
Kabhi PhooL Ho Kabhi Dhool Ho
Kabhi Yaad Ho, Kabhi BhooL Ho

Rahain Muskuratay Pyaar Main
Khilain Phool Ban K Bahaar Main

Na Nashaib Ho
Na Faraaz Ho
Na Nasab Ho
Na He Zaat Ho

Rahain Muskuratay Pyaar Main
Khilain Phool Ban K Bahaar Main

Na Zameen Ko'i
Na Falak Ko'i
Na Vajood Ho
Na He Zaat Ho

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho..!!
Share:

Blog Archive

Definition List

Unordered List

Support