Thursday, 31 January 2013

Emaan Mujhe Rooke Hai Jo Kheenche Hai Mujhe Kufar - Mirza Ghalib

Emaan Mujhe Rooke Hai Jo Kheenche Hai Mujhe Kufar,
Kaaba Mere Peeche Hai, Kaleesa Mere Aage….!

Mirza Ghalib
Share:

Wednesday, 30 January 2013

Thehar Jati Hai Har Nazar Tere Rukhsar Pe Aa Kar

Thehar Jati Hai Har Nazar Tere Rukhsar Pe Aa Kar,
Tere Masoom Chehre Ki Banawat Me Kashish Kuch Hai...

Shared By: Rais
Share:

Tuesday, 29 January 2013

Tu Ne Dekha Hai, Kabhi Chand Pe Behta Pani

Tu Ne Dekha Hai, Kabhi Chand Pe Behta Pani?
Mein Ne Dekha Hai Ye Manzar Us Ke Rukhsar Pe Aksar….

Dard Poetry
Share:

Woh Ashq Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai

Woh Ashq Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai,
Ajeeb Shakhs Hai, Pani Ke Ghar Mein Rahta Hai…!

Sad Poetry
Share:

Monday, 28 January 2013

Bohat Aahistagi Se Har Lamha Doobti Aik Sada Ki Soorat

Bohat Aahistagi Se Har Lamha Doobti Aik Sada Ki Soorat,
Mein Kaloot-e-Jaan Mein Bujh Raha Hun, Mujhe Dua’on Mein Yaad Rakhna

Dua
Share:

Aaj Hamein Barish Ka Pehla Qatra Banna Hai

Aaj Hamein Barish Ka Pehla Qatra Banna Hai,
Tum Kuch Dair Ruk Jao Abar Hone Tak….

Barish
Share:

Dunya To Meri Wafaon Ka Silaa De Chuki Mujh Ko

Dunya To Meri Wafaon Ka Silaa De Chuki Mujh Ko,
Tu Bhi Mera Khaloos Mere Munh Par Maar De….

Duniya
Share:

Sunday, 27 January 2013

Wafa Hai Riyasat Apni, Phir Bhi Ham Ghareeb Thehrey

Wafa Hai Riyasat Apni, Phir Bhi Ham Ghareeb Thehrey,
Bewafai Ka Taaj Pehne, Kitne Ham Ne Nawab Dekhe…

Bewafa
Share:

Sookhe Patton Ki Aahat Ab Bhi Mujhe Chonkati Hai

Sookhe Patton Ki Aahat Ab Bhi Mujhe Chonkati Hai,
Yaad Hai Mujh Ko, Un Par Chalna Tum Ko Acha Lagta Tha…

Aahat
Share:

Saturday, 26 January 2013

Woh Mera Sab Kuch Tha, Bas Meri Kismat Mein Nahi Tha

Woh Mera Sab Kuch Tha, Bas Meri Kismat Mein Nahi Tha,
Kaash Woh Mera Kuch Na Hota, Bas Meri Kismat Mein Hota...

Kaash.... any.....
Share:

Mere Apnon Ne Bhi Na Socha Ke Ujroon Ga - Two Line

Mere Apnon Ne Bhi Na Socha Ke Ujroon Ga To Kahan Jaon Ga,
Aashiyana Jin Ka Na Ho, Woh Parindey Aksar Mar Hi Jate Hain...
Share:

Charhte Sooraj Dhalde Wekhe, Bujhe Deewe Balde Wekhe - Bullhe Shah

Charhte Sooraj Dhalde Wekhe, Bujhe Deewe Balde Wekhe,
Heeray Da Koi Mul Na Taare, Khote Sikky Chalde Wekhe,

Jinnan Da Na Jag Te Koi, Oovi Puttar Palde Wekhe,
Aohdi Rehmat Dey Naal Bande, Pani Uttey Chalde Wekhe

Loki Kehnde Dal Ni Galdi, Mein Te Pathar Galde Wekhe
Jinha Qadar Na Ketti Yaar Di ‘Bulhiya’ Hath Khali Oo Malde Wekhe

Baba Bullhe Shah
Share:

Thursday, 24 January 2013

Ham Tanha Guzar Rahe Tha, Aur Har Taraf

Ham Tanha Guzar Rahe Tha, Aur Har Taraf,
Rahon Me Bas Shehnaiyon Ki Hi Goonjh Thi....

By: Vishal
Share:

Hamein Kehne Ki Aadat Nahi, Likhne Ka Shoq Hai

Hamein Kehne Ki Aadat Nahi, Likhne Ka Shoq Hai,
Jazbon Ko Apne Qalam Ki Ta'seer Likhon Ga....!!

Shared By: Sabir
Share:

Taluqaat Mein Aisi Rawadari Bhi Na Ho ‘Mohsin’ - Yaad

Taluqaat Mein Aisi Rawadari Bhi Na Ho ‘Mohsin’
Mile To Mil Lena, Bichre To Yaad Bhi Na Karna…

Mohsin
Share:

Jab Mohabbat Hi Nahi Darmiyan - Mohabbad Sad Poetry

Jab Mohabbat Hi Nahi Darmiyan,
Wo Roothein Kia, Ham Manain Kia..?

Piyar
Share:

Definition List

Unordered List

Support