Wednesday, 22 August 2012

Qasid.! Diyar-e-Yaar Se Laye - Sad Eid Poetry

Sad Eid Poetry

Urdu Shayari - Eid Sad Poetry

Qasid.! Diyar-e-Yaar Se Laye ho Kuch Khabar..??
Eid To Guzarne Ko Hai.! Aur Woh Aaye Nahi…!

Urdu Poetry - Eid Shayari

قاصد! دیارِ یار سے لاے ہو کچھ خبر۔۔؟
عید تو گزرنے کو ہے، اور وہ آئے نہیں۔۔؟
Share:

Anaa ki Mooj Masti Mein - Sad Urdu Poetry

Badshah Poetry

Urdu Poetry - Sad Poetry

Anaa ki Mooj Masti Mein Abhi Bhi Baadshah Hain Hum...! 
Jo Hum ko toor Deta hai, Hum Us ko Chorr Daite Hain....!
Anaa = Ego; Mooj Masti = Fun; Baadshah = King

Shayari - Poetry

انا کی موج مستی میں ابھی بھی بادشاہ ہیں ہم
جو ہم کو توڑ دیتا ہے، ہم اس کو چھوڑ دیتے ہیں
Share:

Tuesday, 21 August 2012

Mujh Ko Bhi Parh, Kitaab Hun - Quran Islamic Poetry

Quran Islamic Poetry

Roman Urdu - Quran Islamic Poetry

Mujh Ko Bhi Parh, Kitaab Hun, Mazmoon-e-Khas Hun, 
Maana Tere Nisaab Mein Shamil Nahi Hun Mein….

Nisaab = Course

Urdu Shayari - Islamai Shayari

مجھ کو بھی پڑھ کتاب ہوں مضمون خاص ہوں 
مانا کہ تیرے نصاب میں  نہیں ہوں میں 
Share:

Eid Ka Din Hai Aaj - Eid Shayari

nice eid shayari

Roman Urdu Poetry - Eid Shayari

Eid Ka Din Hai Aaj To Galy Mil Le ‘Nasir’ 
Rasm Bhi Hai, Moqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai…

Rasm = Tradition; Moqa = Oppertunity; Dastoor = Constitution

Urdu Shayari - Eid Poetry

عید کا دیں ہے آج تو گلے مل لے ناصر
رسم بھی ہے، موقع بھی ہے، دستور بھی ہے
Share:

Kaash Keh Mil Jaye Mujhe - Mohabbat Love Poetry

Mohabbat Love Poetry

Roman Urdu Love Poetry

Kaash Keh Mil Jaye Mujhe Muqaddar Ki Siyaahi Aur Qalam, 
Lamhe Lamhe Ki Khushi Likh Doon Tumhari Zindagi Ke Liye…

Kaash = Alas; Muqaddar = Destiny; Siyaahi = Ink; Qalam = Pen

Urdu Shayari - Mohabbat Shayari

کاش کہ مل جائے مجھے مقدّر کی سیاہی اور قلم
لمحے لمحے کی خوشی لکھ دوں تمہاری زندگی کیلئے
Share:

Sunao Eid Bahar Chaman ko Yaad karo - Eid Shayari

Roman Urdu Eid Poetry

Sunao Eid Bahar Chaman ko Yaad karo,
Piyam-e-Ishq Ke ik Sukhan Ko Yaad Karo…

Hajoom-e-Shoq Se Fursat Mile To Ehl-e-Watan,
Watan Se Door Kisi be_Watan ko Yaad Karo…

Bahar= Spring; Chaman= Garden; Piyam-e-Ishq = Love Letter;
Hajoom= Crowed; Fursat = leisure; be_Watan = Stateless

Urdu Eid Shayari

سناؤ عید بہار چمن کو یاد کرو
پیام عشق کے اک سخن کو یاد کرو

ہجوم شوق سے فرصت ملے تو اہل وطن
وطن سے دور کسی بے وطن کو یاد کرو
Share:

Meri Dharkano ki KITAB mein - Urdu love Poetry

Kitaab Love Poetry

Roman Love Poetry - Urdu Shayari

Meri Dharkano ki KITAB mein
Meri Chahaton kay hisaab Main
Woh jo Mehtab sa Shaks thaa
Meri Dharkano mein Sharik tha
Woh chalta rehta tha door tak
Mera hath tham kay hath mein
Woh janay kesay chala gaya..??
Mujhay chor kay usi khuwab mein
Aaj bhi hai woh bassa huwa
Meray Dil ki BAND KITAB MEIN......!!!!

Mehtab= Moon; Sharik= Partner; Khuwab= Dream
Share:

Monday, 20 August 2012

Chaand Dekha Hai To Yaad Aai - Eid Chand Poetry

Eid Shayari

Best Eid Shayari 2012

Chaand Dekha Hai To Yaad Aai Hai Teri Soorat,
Haath Uthte Hain Mager Harf-e-Dua Yaad Nahi…
Share:

Roothne Waly, Agar Ijazat Ho - Eid Shayari

Eid Poetry

Roman Urdu - Eid Shayari

Roothne Waly, Agar Ijazat Ho,
Eid Ke Roz, Milne Aa Jaa’on.??
Share:

Hum Bhi Wohi, Hijr-e-Yaaraan Bhi Wohi - Best Eid Poetry

Eid Shayari

Eid Poetry - Eid Shayari

Hum Bhi Wohi, Hijr-e-Yaaraan Bhi Wohi,
Wohi Dil-e-Be’taab Bhi,
Suna Hai, Koocha-e-Yaaraan Mein Eid Hai
Aik Din Ke Baad….
Share:

Dekha Eid ka Chaand to - Eid Love Poetry, Eid Shayari

Love Eid Poetry

Eid Shayari - Love Eid Poetry

Dekha Eid ka Chaand to Mangi ye Dua Rab Se,
De De Tera Saath Eid Ka Tohfa Samajh Ke…
Share:

Har koi apne chaand se tha mehv-e-guftugu - Eid Poetry

Eid Sad Poetry

Roman Urdu - Sad Eid Poetry

Har koi apne chaand se tha mehv-e-guftugu,
Mein apna chaand dhoondta raha, aur Eid guzar Gai..
Share:

May Allah flood your life with Happiness - Eid sms

May Allah flood your life
 with happiness on this occasion,
your heart with love,
your soul with spirtual,
your mind with wisdom,
wishing you a very Happy Eid Mubarik
Share:

May the auspicious occasion of Eid - Eid Mubarak

May the auspicious occasion of Eid ,
bless you with peace
and
bring joy to your heart and home.
*EID Mubarak*
Share:

Saturday, 18 August 2012

Khusiyon Ki Shaam Aur Yaadon - EID Poem - EID Poetry

Best Eid Poetry

Roman Urdu - EID Poetry

Khusiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Sama’n,
Apni Palkon Pe Hargiz Sitaray Na Layn Gey,
Rakhna Sanbhal Kar Chand Khushiyan Mere Liye,
Mein Laut Aaon Ga To EID Manayn Gey..
Sama’n= Picture; Palkon= Eyelids; Hargiz= at all; Chand= few

Urdu - EID Shayari

خوشیوں کی شام اور یادوں کا یہ سماں
اپنی پلکوں پی ہر گز ستارے نہ لائیں گے
رنکھنا سنبھال کر چند خوشیاں میرے لئے
میں لوٹ آؤں گا تو عید منائیں گے

Share:

EID Ke Chaand Ko Dekhe Na - EID Poetry

EID Poem

Roman Urdu - EID Poetry

EID Ke Chaand Ko Dekhe Na Koi Mere Siwa,
Is Ke Deedar Ko Ik Saal Guzara Mein Ney…!
Chaand= Moon; Deedar= Appearance

Urdu - EID Poem

عید کے کہاں کو دیکھ نہ کوئی میرے سوا
اس کے دیدار کو اک سال گزارا میں نے

Share:

Friday, 17 August 2012

Yeh Meri Aqeedat-e-Be_Sabar - Afsoos Shayari

Roman Urdu - Afsoos Shayari

Yeh Meri Aqeedat-e-Be_Sabar, Yeh Meri Ibadat-e-Be_Samar,
Mujhe Mere Dawah-e-Ishq Ne, Na Sanam Diya, Na Khuda Diya..
Aqeedat= Devotion; Be_Sabar= Impatient; Ibadat= Worship; Be_Samar

Urdu - Sad Poetry

،یہ میری عقیدتِ بےِ صبر، یہ میری عبادتِ بےِ ثمر
مجھے میرے دعوهِ عشق نے، نہ صنم دیا نہ خدا دیا
Share:

Koi To Barsat Aisi Ho - Barsat Sad Shayari

Best Barish Poetry

Roman Urdu - Rain Poetry

Koi To Barsat Aisi Ho Jo Tere Sang Barsy...
Tanha To Meri Aankhen Har Roz Barasti Hain...
Sang= with; Barsat= Rain; Tanha= alone; Barasti= pouring

Urdu - Barsat Shayari

کوئی برسات ایسی ہو جو تیرے سنگ برسے
تنہا  تو  میری  آنکھیں  ہر روز  برستی ہیں
Share:

Hame samjhao na ‘Mohsin’ - Mohsin Naqvi Love Poetry

Roman Urdu - Love Poetry

Hame samjhao na ‘Mohsin’ hamen Maloom hai sab kuch,
Mohabbat Mashwara Hoti To, Tum Say Pooch Kar Karte…

Urdu - Mohabbat Shayari

،ہمیں سمجھاؤ نہ موحسنؔ، ہمیں معلوم ہے سب کچھ
محبت مشورہ ہوتی، تو تم سے پوچھ کر کرتے
Share:

Prinda Urr Gaya Aakhir Ye Keh Kar - Sad Poetry

Roman Urdu - Sad Poetry

Prinda Urr Gaya Aakhir Ye Keh Kar Khushk Jheelon Se,
Mujhe Majboor Hijrat Pey Mere Halaat Karte Hain….

Urr= fly; Khushk= Dried; Jheelon= Lakes;
Majboor= Force; Hijrat= Migration

Urdu - Udas Shayari

پرندہ اُڑ گیا آخر یہ کہ کر خشک جھیلوں سے
مجھے مجبور ہجرت پہ میرے ہالات کرتے ہیں
Share:

Thursday, 16 August 2012

Aqal Waloon Ke Muqaddar - Ghalib's Love Poetry

Roman Urdu - Inspirational Poetry

Aqal Waloon Ke Muqaddar Mein Yeh Zok-e-Junun Kahan 'Ghalib'
Yeh Ishq Waale Hain Jo Har Cheez Luta Dete Hain...!

Urdu - Iqbal's Poetry

عقل والوں کے مقدار میں یہ ذوکِ جنوں کہاں غالبؔ
یہ عشق والے ہیں جو ہر چیز لٹا دیتے ہیں  
Share:

Qabil-e-Daad ye Aankhen hain - Sad Eyes Poetry

Roman Urdu - Aankhen Poetry

Qabil-e-Daad yeھ Aankhen hain, ke in Aankhon se,
Khud hi Pamal hue, aur khud hi Tamasha Dekha…
Daad= Praise; Pamal= Be Violated;

Urdu - Aankhen Shayari

قابلِ داد یہ آنکھیں ہیں کہ ان آنکھوں سے
خود ہی پامال ہوئے اور خود ہی تماشا دیکھا
Share:

Wednesday, 15 August 2012

Abhi Tak Pa’on Se Chimti Hain - Azadi Shayari

Sad Independece Day Poetry

Roman Urdu - Independence Day

Abhi Tak Pa’on Se Chimti Hain Zanjeerain Ghulami Ki,
Din Aa Jata Hai Aazadi Ka, Aazadi Nahi Aati… :(
Pa’on= Feet; Chimti= Pinch; Zanjeerain= Chains; Ghulami= Slavery; Aazadi= Freedom

Urdu - Azadi Shayari

ابھی تک پاؤں سے چمٹی ہیں زنجیریں غلامی کی
دن آ  جاتا  ہے  آزادی  کا، آزادی  نہیں  آتی
Share:

Jo Ho Ijazat To Tum Se Ik Baat Pochoon? - Love Poetry

mohabbat shayari

Roman Urdu - Love Poetry

Jo Ho Ijazat To Tum Se Ik Baat Pochoon?
Jo Ham Se Ishq Seekha Tha Woh Ab Kis Se Karte Ho..?

Urdu - Mohabbat Shayari

جو  ہو  اجازت  تو  تم  سے  اک  بات  پوچھو؟
جو ہم سے عشق سیکھا تھا وہ اب کس سے کرتے ہو؟
Share:

Tuesday, 14 August 2012

Teri Har Nazar Mera Imtehaan - Love Poetry

rsz_16dard_shayari

Roman Urdu - Love Poetry

Gham-e-Hayat, Gham-e-Bandagi, Gham-e-Do_Jahan, Gham-e-Jaodan,
Meri Har Nazar Teri Muntazir, Teri Har Nazar Mera Imtehaan…!
hayat= Life; Bandagi= servitude/worship; Jaodan= Standing;

Urdu Shayari - Mohabbat Shayari

،غمِ حیات، غمِ بندگی، غمِ دو جہاں، غمِ جاوداں
میری ہر نظر تیری منتظر، تیری ہر نظر میرا امتحان
Share:

Happy Independence Day 2012 Pakistan

Independence Day SMS

1.

Pray to Allah Almighty,
And show some faith n dignity,
Quran be at your side,
Islam giving you a pride,
Sunnah be a light for you,
That will glow and let you do,
All the acts to make you feel,
Nothing but this land is real.

*Happy Independence Day*

2.

‘This Nation’
Will Remain The Land
Of The ‘Free’ Only So
Long As It Is The
Home Of The ‘Braves’ ...
*Happy Independence Day*

3.

I am in love,
I am passionate about his,
I loving every moment of it and
why not its his 65th Birth Day.
It’s our Pakistan.

*HAPPY INDEPENDENCE DAY*
Share:

Mera Din Udas Hai, Aur Raat Tanha Si - Sad Poetry

dard shayari

Roman Urdu - Sad Poetry

Mera Din Udas Hai, Aur Raat Tanha Si ‘Aey Dost’
Kia Qasoor Tha Mera Faqat Tujh Se Mohabbat Ke Siwa.?

Urdu Poetry - Dard Shayari

‘میرا  دن  اداس  ہے , اور  رات  تنہا  سی  ‘اے  دوست
کیا  قصور  تھا  میرا  فقط  تجھ  سے  محبت کے  سوا
Share:

Socha Tha Likhon Ga Teri Sadgi Pe - Love Poetry


Roman Urdu - Love Poetry

Socha Tha Likhon Ga Teri Sadgi Pe Ik Ghazal,
Afsoos Tere Mayaar Ke Lafz Hi Na Mil Sake

Sadgi= simplicity; Afsaos= Regret; Mayaar= Standard

Urdu - Mohabbat Shayari

'سوچا تھا لکھوں گا تیری سادگی پے اک 'غزل 
افسوس  ترے  معیار  کے لفظ  ہی نہ مل سکے 
Share:

'14th August' The Day of Sacrifice - Independence Day

Pakistan Independence Day 2012

Independence Day

' 14th August '
The Day of Sacrifice, the day of Love, the day of Decision..
Celebrating with the message of freedom and Peace of the World..

* Happy Independence Day *

Share:

Monday, 13 August 2012

Chashm-e-Num Dhoond Rahi Hai Tum Ko - Love Poetry

Roman Urdu Poetry - Love Poetry

Chashm-e-Num Dhoond Rahi Hai Tum Ko,
Kaash! Duniya Me Tum Hi Tum Hote….

Chashm-e-Num= Moist eyes

Urdu Shayari - Mohabbat Shayari

چشمِ نم ڈھونڈ رہی ہے، تم کو
کاش! دنیا میں تم ہی تم ہوتے
Share:

Jis Khuwab Me Ho Jaye Didar-e-Mustufa - Islamic Poetry

Roman Urdu Shayari - Islamic Poetry

Jis Khuwab Me Ho Jaye Didar-e-Mustufa(S.A.W.W) Hasil
Aey Rab Kabhi Ham Ko Bhi Woh Need Sula Dey…

Urdu Poetry - Islamic Shayari

جس خواب میں ہو جاے دیدارِ مصطفی حاصل
اے رب  کبھی ہم  کو بھی وہ  نیند  سُلا  دے
Share:

Sunday, 12 August 2012

Piyaas-e-Asghar Ka Aks Karbala Mein Woh Manzar

Best Islamic Poetry

Roman Urdu Script - Islamic Poetry

Piyaas-e-Asghar Ka Aks Karbala Mein Woh Manzar To Dekh
‘Insaan’ Tu Bhool Jaye Ga Kehna Ke Rooze Dar Hun Mein…

Urdu Script - Islamic Poetry

،پیاسِ اصغر کا عکسِ کربلا میں وہ منظر تو دیکھ
انسان' تو بھول جائے گا کہنا کے روزے دار ہوں میں'
Share:

Saturday, 11 August 2012

Nahin Qabil Tere Lekin Munasib Jo Agar Samjho - Sad Poetry

Dard Bhari Shayari

Roman Urdu Poetry

Nahin Qabil Tere Lekin Munasib Jo Agar Samjho,
Yaad Rakhna Duaon Me Yehi Hai Dua Aey Dost…

Urdu Poetry

نہیں قابل تیرے لیکن مناسب جو اگر سمجھو
یاد رکھنا دعاؤں میں یہی ہے دعا اے دوست
Share:

Aey Hum Sukhan Wafa Ka Taqaza Hai Ab Yehi - Nasir Kazmi

Love Poetry

Roman Urdu Script - Love Poetry

Aey hum sukhan wafa ka taqaza hai ab yehi,
Mein apne hath kaat lon, tu apne hont see..

hum sukhan= Friend; taqaza= Requirement;

Kin be-dilon mein phaink diya hadsaat ne,
Aankhon mein jin ki noor na baaton me taazgi..

hadsaat= Accidents

Bol aey mere diyaar ki soi hui zameen,
Mein jin ko dhoondta hun kahan hain wo aadmi?

diyaar= homeland; aadmi= men;

Meethe the jin ke phal, wo shajar kat kata gaye,
Thandi thi jis ki chaaon wo deewar gir gai..

Meethe= sweet; phal= fruits; chaaon= shade; deewar= wall

Bazaar band, raaste sunsan, be-chiraagh,
Wo raat hai ke ghar se nikalta nahi koi…

Bazaar=  Markets; sunsan= lonely; be-chiraagh= without lamp;

‘Nasir’ bohat si khuwahishain dil me hain be-qarar,
Lekin kahan se laaon woh be-fikar zindagi…

Khuwahishain= wishlists; 

by: Nasir Kazmi

Urdu Script - Love Poetry

اے ہم سخن وفا کا تقاضا ہے اب یہی
میں اپنے ہاتھ کاٹ لوں، تو اپنے ہونٹ سی


کن بے دلوں میں فیک دیا حادثات نے
آنکھوں میں جن کی نور نہ باتوں میں تازگی


بول اے مرے دیار کی سوئی ہی زمیں
میں جن کو ڈھونڈتا ہوں کہاں ہیں وہ آدمی


میٹھے تھے جن کے پھل، وہ شجر کٹ کٹا گئے
ٹھنڈی تھی جس کی چھاؤں وہ دیوار کٹ گئی


بازار بند، راستے سنسان، بے چراغ
وہ رات ہے کے گھر سے نکلتا نہیں کوئی


ناصر بوہت سی خواہشیں دل میں ہیں بے قرار
لیکن کہاں سے لاؤں وو بے فکر زندگی
Share:

Friday, 10 August 2012

Qooat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar Dey - Islamic Poetry

Iqbal

Roman Urdu Script - Islamic Poetry

Qooat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar Dey,
Dehar Me Ism-e-Mohammad (S.A.W.W) Se Ujala Kar Dey...

Urdu Script - Islamic Poetry

قوتِ عشق سے ہر پست کو بلا کر دے
دہر میں اسمِ محمّد سے اجلا کر دے
Share:

Thursday, 9 August 2012

Hamain Bujha De, Hamari Anaa Ko Qatal Na Kar - Sad Poetry

Sad Poetry

Roman Urdu Sad Poetry

Hamain Bujha De, Hamari Anaa Ko Qatal Na Kar..!
Ke Be-Zarar Hi Sahi, Be-Zameer Ham bhi Nahi…!

Urdu Poetry

ہمیں  بجھا  دے،  ہماری  انا  کو  قتل  نہ  کر
کے بے ضرر ہی سہی، بے ضمیر ہم بھی نہیں

Share:

Tum Samandar Ki Baat Karte Ho - Love Poetry

Love Poetry

Roman Urdu Poetry

Tum Samandar Ki Baat Karte Ho…?
Log Aankhon Me Doob Jate Hain….!

Urdu Poetry

!…تم سمندر  کی  بات  کرتے  ہو
لوگ آنکھوں میں ڈوب جاتے ہیں
Share:

Wednesday, 8 August 2012

Hum Gaye The Un Ko Manane Ke Liye - Sad Poetry

best sad poetry

Roman Urdu Poetry

Hum Gaye The Un Ko Manane Ke Liye,
Wo Khafa Achay Lage, Hum Ne Khafa Rehne Diya...

Urdu Poetry

،ہم گئے تھے ان کو منانے کے لئے
وہ خفا اچھے لگے،ہم نے خفا رہنے دیا

Share:

Do Char Nahi Mujhe Faqat Aik Hi Dikha Do - Sad Poetry

Urdu Best Poetry

Roman Urdu Poetry

Do Char Nahi Mujhe Faqat Aik Hi Dikha Do 'Dost',
Wo Shakhs Jo Andar Se Bhi Bahar Ki Tarhan Ho..!

Urdu Poetry

'دو چار نہیں مجھے فقط ایک ہی دکھا دو 'دوست
وہ شخص جو اندر سے بھی بہار کی طرح ہو

Share:

Tumhari Thi Shararat Mehndi Se Hatheli Pe - Sad Poetry

Urdu Poetry

Roman Urdu Poetry

Tumhari Thi Shararat Mehndi Se Hatheli Pe Naam Likhna,
Aur Mujhe Ruswa Kar Diya Tum Ne Yunhi Khailte Khailte…

Urdu Poetry

تمہاری تھی شرارت مہندی سے ہتھیلی پہ نام لکھنا
اور مجھے رسوا کر دیا تم نے یونہی کھیلتے کھیلتے
Share:

Tuesday, 7 August 2012

Na Ganwao Nawak-e-Neem Kash - Ghazal poetry

Faiz poetry

Roman Urdu Poetry

Na Ganwao Nawak-e-Neem Kash, Dil-e-Reza Reza Ganwa Diya,
Jo bache hain sang samait lo, tan-e-dagh dagh luta diya..

Mere charahgar ko naveed ho, sifh-e-dushmanan ko khabar karo,
Wo jo qarz rakhte the jaan par, wo hisab aaj chuka diya…

Karo kaj jabeen pe sar kafan, mere qatilon ko guman na ho,
Keh gharor-e-ishq ka bankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya..

Udhar ek harf ke kashtani, yahan laakh guzar tha guftani,
Jo kaha to sun kar ura diya, jo likha to parh kar mita diya..

Jor ke to koh-e-giran the hum, jo chaly to jaan se guzar gaye,
Reh-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgar bana diya…!
By: Faiz Ahmed Faiz

Urdu Poetry

،نہ گنواؤ ناوکِ نیم کش، دلِ ریزہ ریزہ گنوا دیا
جو بچے ہیں سنگ، سمیت لو، تنِ داغ داغ لوٹا دیا
،میرے چارہ گر کو نوید ہو، صفِ دشمناں کو خبر کرو
وو جو قرض رکھتے تھے جان پر وہ حساب آج چکا دی
،کرو کج جبیں پہ سر کفن، میرے قاتلوں کو گماں نہ ہو
کہ غرور عشق کا بانکپن، پسِ مرگ ہم نے بھلا دیا
،ادھر اک حرف کے کشتنی، یہاں لاکھ گزار تھا گفتنی
جو کہا تو سن کے اڑا دیا، جو لکھا تو پڑھ کہ مٹا دیا
،جوڑ کے تو کوہِ گراں تھے ہم، جو چلے تو جاں سے گزر گئے
رہِ  یار  ہم  نے  قدم  قدم ،  تجھے  یاد گار  بنا  دیا

Urdu Poetry Video

Share:

Meri Mohabbatain Bhi Ajeeb Thin - Sad Poetry

Urdu Sad Poetry

Roman Urdu Poetry

Meri Mohabbatain Bhi Ajeeb Thin, Mera Faiz Bhi Tha Kamal Ka,
Kabhi Sab Kuch Mila Bina Talab, Kabhi Kuch Na Mila Sawal Par..!

Urdu Poetry

،میری محبتیں بھی عجیب تھیں، میرا فیض بھی تھا کمال کا
..کبھی سب  کچھ  ملا  بنا  طلب، کبھی کچھ نہ ملا سوال  پر

Share:

Monday, 6 August 2012

Kitne Tufaan Mujhe Dekh Ke Rukh Moor Lete Hain - Urdu Poetry

Mother Poetry

Roman Urdu Poetry

Kitne Tufaan Mujhe Dekh Ke Rukh Moor Lete Hain,

Mujh Pe Maa’n, Teri Dua’on Ka Asar Hai Kitna….!

Tufaan= Storms; Dua’on= Prayers

Urdu Poetry

کتنے طوفان مجھے دیکھ کے رخ مور لیتے ہیں،
مجھ  پہ  ماں ،  تیری  دعاؤں  کا  اثر  ہے  کتنا 

Share:

Sunday, 5 August 2012

Mohabbat Haath Mein Pehni Hui Churi - Urdu Poetry

best love poetry

Roman Urdu Poetry

Mohabbat Haath Mein Pehni Hui Churi Ki Manind Hai,
Sanwarti Hai, Khanakti Hai, Khanak Kar Toot Jati Hai...!

Churi = Bangle; Manind = Alike; Sanwarti = Have fashioned; Khanak = Tinkling

Urdu Poetry

،محبت  ہاتھ  میں  پہنی  ہوئی  چوڑی  کی  مانند  ہے
سنوارتی ہے، کھنکتی ہے، کھنک کر ٹوٹ جاتی ہے

Share:

Friday, 3 August 2012

Hazaaron Mushkilain Hai Doston Se Door - Urdu Poetry

Zulm Shayari

Roman Urdu Poetry

Hazaaron Mushkilain Hai Doston Se Door Rehne Mein,

Mager Ik Faida Hai, Peeth Mein Khanjar Nahi Lagta…!

Urdu Poetry

ہزاروں مشکلیں ہیں دوستوں سے دور رہنے میں
مگر اک فائدہ ہے پیٹھ میں خنجر نہیں لگتا

 

Share:

Thursday, 2 August 2012

Tujh Se Bichra To Kisi Dar Ka Na Raha - Urdu Poetry

best sad poetry

Roman Urdu

Tujh Se Bichra To Kisi Dar Ka Na Raha,

Khushk Pattay Ki Tarha Aaj Bhi Safar Me Hun…

Urdu

،تجھ سے بچھڑا تو کسی در کا نہ رہا
خشک پتے کی طرح آج بھی سفر میں ہوں

 

Share:

Wednesday, 1 August 2012

Doobi Hain Meri Ungliyan Hi Mere Khoon Mein–Urdu Poetry

Sad Poetry

Roman Urdu

Doobi Hain Meri Ungliyan Hi Mere Khoon Mein,

Ye Kaanch Ke Tukron Par Bharosay Ki Saza Hai..!

Urdu

ڈوبی ہیں میری انگلیاں ہی میرے خون میں
!یہ کانچ کے ٹکڑوں پر بھروسے کی سزا ہے

Share:

Blog Archive

Definition List

Unordered List

Support