Thursday, 31 May 2012

Ab Mohabbat Se Dar Gaya hai DIl


Ab wafa se mukar gya hai Dil,
Ab Mohabbat se dar gya hai Dil,
Ab Sahaaron ki baat mat krna,
Ab Dilason se bhar gya hai Dil,
Jab Bulate thy zinda dil thy hum,
Ab na aao k mar gya hai Dil..!
Ab wo pagal pan na wehshat hai,
Chot kha kha kar Sambhal gya Hai Dil...!
Share:

Faqat itni Guzarish Hai - 2 line poetry


Faqat itni Guzaarish hai,  Mohabbat me mere moula,
Mujhe Nakaam hone se zara pehle Uthaa Laina....!

Share:

Wednesday, 30 May 2012

Reh Gai Rasam-e-Azan Rooh Bilali Na Rahi - Allama Iqbal Poetry


Reh gai Rasam-e-Azan Rooh Bilali na rahi,
Falsafa reh gaya Talqeen-e-Ghazali na rahi...!


Share:

Ham Ne Sookhi Hui Shaakhon Pe Lahuu Chirka Tha


Ham ne sookhi hui Shaakhon pe Lahuu chirka tha,
Phool ager ab bhi na Khilte to Qayamat Hoti...!

Share:

Wo Kehti Thi Ke Roone Se Nahi Badalte Naseeb - 2 line poetry


Woh kehti thi ke roone se nahi badalte Naseeb,
Un ki is baat ne umer bhar Roone na diya....!

Share:

Tuesday, 29 May 2012

Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na Soo Sakoon 'Mohsin'


Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na Soo Sakoon 'Mohsin',
Yaad Phirr Aai Hai Neendoon Ko Uraane Waali...!

Share:

Jaane kia soch ke rootha tha Qatil mera - sad poetry


Sab ke hoonton pe tabassum tha mere Qatal ke baad
Jaane kia sooch ke rootha tha Qatil mera....?
Share:

Me To Qaym Hun Teri Mohabbat Ki Badoolat



Me To Qaym Hun Teri Mohabbat Ki Badoolat Warna
Yun Bikhar Jaon ke Haath Na Aaun Apne....!

Share:

Buzdil Hain wo Log jo Mohabbat Nahi Karty


Buzdil hain wo log jo mohabbat nahi karty,
Bohat hosla chahiye barbaad hone k liye..!!

Share:

Monday, 28 May 2012

Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi - Mohsin Naqvi


Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi
Pyasey Hont thy Aankh Samundar Jaysi thi

Sooraj Usko Daikh Ker Peela Perta Tha
Woh Sarma ki Dhoop mein Dhul Ker Nikli Thi

Usko Apny SaaYe Se Dar Lagta tha
Sooch K Sehra mein Woh Tanha Heerni thi

Aaty Jaaty Mausam Usko Dasty Thy
Hansti Hansti Palkoon se Ro Perti thi

Aadhi Raat Ganwa deti Thi Chup Reh Ker
Aadhi Raat K Chaand se Baatein Kerti Thi

Door Se Ujray Mandir Jaysa Ghar Uska
Woh ApnY Ghar mein Ikloti Devi thi

Moum Se Nazuk Jism Seher Ko Dukhta Tha
Diye Jala Ker Shab bhar Aap Pighalti thi

Taiz Hawa Ko Rok Ker Apny Aanchal Per
SookhY Phool Ikhaty Kerti Phirti Thi

Sub per Zahir ker deti thi Bhaid Apna
Sub Se Ik Tasveer Chupaye Rakhti thi

Kal Shab Chakna Chor Hua tha Dil Uska
Ya Phir Pehli Baar Woh Khul Ker Royi Thi

Moshin Kya Jaany Kion Dhoop se be'Parwah
Woh Apny Ghar Ki Dehleez Per Bethi Thi...???

By: Mohsin Naqvi
Share:

Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye - Parveen Shakir



Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye

baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye

jugnu ko din ke waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad ke chalak ho gaye

lahra rahi hai barf ki chadar hata ke ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham ke namnak ho gaye

sahil pe jitne aab_guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairak ho gaye

By: Parveen Shakir

(Chaak = Torn ; Saffak = Cruel) (ahad = times) ( aab_guzida = scared of water ; Tairak = swimmers)
Share:

Kuch Mohabbat ka Nasha pehle - Ahmed Faraz Poetry

Kuch Mohabbat ka Nasha pehle ham ko Tha Faraz
Dil jo Toota to Nashe se Mohabbat Ho gai....!


Share:

Sunday, 27 May 2012

Shehar-e-Khmoshan Me Roz Ka Aana Jana - Urdu Poetry



Shehar-e-Khmoshan Me Roz Ka Aana Jana Hai Ab Apna
"Tahir" Apne Liye Ab Aakhri Aaraam Gah Dhoond Raha Hai...!


by: Tahir Javaid Tahir
Share:

Definition List

Unordered List

Support